Chinta na kar, ye pal bhi beet jayega

Chinta na kar.
Ye pal bhi beet jayega.

Wo aansuon ki dhaara
Wo samay ka ishara
Wo beparwah awara
Ye pal bhi beet jayega

Khud pe bharosa rakh ke to dekh
Apni baatein khud se kar ke to dekh
Khushi ko apna banaa ke to dekh
Khushi bhi teri mohtaj ban jayegi
Aur ye pal bhi beet jayega

Wo apne jo paraaye ho gaye
Wo paraaye jo kabhi apne the hi nahi
Wo kisse jo puraane ho gaye
Wo hisse jo kabhi apne the hi nahi
In begaani si baaton me
Tujhe khud ka sahara mil jayega
Chinta na kar
Ye pal bhi beet jayega

Wo toote sapne
Wo jhoothe vaade
Wo dard bhare din
Wo sooni raatein
Sabko intezaar hai to sirf ek baat ka
Ki tu kab
Beete hue kal ko chhorkar
Aane waale pal ke geet gayega
Chinta na kar
Ye pal bhi beet jayega

Wo tera khushi se jhoom uthna
Wo khud par vishwas mein pahaad ulta dena
Na duniya ki chinta
Na apno ka dar
Kuch tere paas tha
To wo tha junoon har pahar
Ye khoya khoya samay bhi vapas jayega
Chinta na kar
Ye pal bhi beet jayega

Ye pal bhi beet jayega
Ye pal bhi beet jayega